HAAY JAB MADINE SEY CHALA Kafla karbobala, Tha ye sughra ke labo par nawha (Ley chalo baba, mujhe ley chalo baba) x3 Apne hamraah suwe karbobala (Ley chalo baba, mujhe ley chalo baba) x2 Apki yaad me roro ke mei marjawungi. Baba akbar ki kasam chain nahi pawungi. Meri saso ka bharosa na raha Kaflay walo ko pani bhi pilawungi mai. Apni aghosh me asghar ko sulawungi mai. Baba ye apse wadaa hei mera Mere kano me jo awaaz azaan ayengi. Mere akbar ki muje yaad bohot ayengi. Bhayi ki yaad na ban jaye qazaa. Kaise akbar ke bina Eid guzarungi mai. Kabhi tumko kabhi amu ko pukarungi mai. Jab koi paas na honga baba Dhoop aur garm hawa hongi safar me dekho. Apne aachal me chupalungi ali asghar ko. Yu na asghar ko karo mujse judaa Khwaab Akbar ki urusi ke bohot dekhe the. Khaak hojayenge ay baba sab armaan mere. Dil yahi soch ke rota hai meraChacha Abbas aur Sakina phuphi zainab se. Akhri baar mila do muje baba sabse. Phir ye bimar nahi dengi sadaa Bhaiya Abid ko dawaa roz pilawungi mai. Unki raho me nigaaho ko bichawungi mei. Tum kanizo ki tarha behr khudaa Acha mehmil me muje tumna bithaana baba. Tum muje raah me peydal hi chalaana baba. Na karungi me shikayat na gilaa. Maine manaa ke nahi kaam mera manzar mei. Baba itna to batado ke akele ghar mei. Zindaa rehpayengi sughra tanha Apne ham rahe suwe karbobala (Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2 ***********************
TAMAM ALAM ME AJ MATAM Husain bekas ka ho raha hai Alam gharo me saje huwe hai Dilo me farshe azaa bicha hai Tamaam alam me aaj maatam (Seeyah kapde seeyah chaadar Ghamo ki gardo gubar sarpar x 2) Hai sogwaroon ke ashq jaari Ke saaniye Zehra be rida hai (Na chasme purham ho kyun sawaali Juloos hai Zuljanah khaali x2) Ke mera dul dul sawaare maula Zameene karbal me so raha hai (Alame mashke Sakina dekho To momino bas ye keh-ke rolo x2) Chacha bhatiji me kya hai nisbath Wafae Abbas kya wafa hai (Hussain peedi me dil sambhale Ke dil se uljhi sina nikale x2) Jawaan beta lahu me dooba, Zamee pe yedi ragad raha hai(Na maar barchi dile Nabi par Abhi huwe hai jawaan Akbar x2) Ye qatl jisko tu kar raha hai Yahi to hamshakle Mustafa hai (Madine walo kaamosh rahna Gareeb Zainab se kuch na kahna x) Bharaa huwa ghar jo legayi thi O karbala me ujad gaya hai ***********************NAWHA #71ST MOHARRAM
baba mera mara gaya of safdar abbas
ASMAN DEKH RAHA THA, Saq-kha koyi faraat pe aye tha tashnalab, Mashkiza bhar ke jaanibe khayma chala wo jab, Barse wo teer chidgayi mashk-e-sakina jab, Roya alam faraat wafa mashk aur sab. Gunji maktal mei shah-e-deen ki sada (Qatl darya pe alamdar huwa) x2 Aur pyaaso ki ye aas tut gayi, Aya maktal se alam khun me bhara Aur pyaaso ki ye aas tut gayi Din dhala sham-e-ghariban ke andhere chaaye (2) Bas Sakina ne yahi roke kaha Ab mere sar se ridaa jayengi zainab ne kaha (2) Rodiye sunke ke shah-e-karbobala Tere ammu to teri pyaas pe kurbaan huwe (2) Sheh ne ye bali sakina se kaha Haath mei sukhe huwe kuze liye bethe the (2) Marsiya pyaas ka maula se suna Khun-e-abbas jo parcham se tapakte dekha (2)Dukhtar-e-shah ka dil dub gaya Roke kulsum se fizza ne kaha shehzadi (2) Teri chadar ka muhafiz bhi gaya Dono haatho se kamar thame huwe sheh ne kaha (2) Bujh gaya meri ummido ka diyya Alatash kehke jo rote the wo khamosh huwe (2) Chayi mahool be matam ki fazaa Roye sadat to daryaa ka kanara roya (2) Zindagi royi kahin royi kazaa ***********************
HUSSAIN ZINDABAAD (2) Khuda ye paak ka pyara hussain zindabad. Nabi ki ankhoon ka tara hussain zindabad. Dil-e-batool ka pyara hussain zindabad. Ali ka raaj dulara hussain zindabad Lagaye jao ye nara (hussain zindabad-2) Kaho ye milke hamara (hussain zindabad-2)AMIR-E-SHEHR SHAHADAT HAI TERA NAAM HUSSAIN. Tuji pe behja hai islam ne salaam hussain. Hai tere hato me kounain ka nizaam hussain. Suna jo noke sina par (tera kalaam hussain-2) Pukaar-uta ye nazaara (hussain zin.. 2) KIYA HAI PANI TERE GHAWSALO NE PATHAR KO? Shikast di hai teri pyaas ne samandar ko. Fana ke kabr me dafna kiya sikandar ko. Ulat ke rakhdiya tune (har ek manzar ko-2) Hakikato ko ubharaa (hussain zin.. 2) KAYAAR SHAB PE UJALO NE HUKMARAANI KI. Jale diye to hawo ne paas pani ki. Mili zaif ko ugrayi ya jawaani ki. Zaban hogayi majbur (be zabaani ki-2) Ye tera faiz he saraa (hussain zin.. 2) PAYAAME HAQ HAI KHUDA KI KASAM PAYAME HUSSAIN. Har ek cheez hai kuonain ki gulam hussain. O mohtaram hai jo karta hai ehtaraam hussain Aghar yazid se lena hai (intikaam-e-hussain-2) Laghawo joom ke nara (hussain zin.. 2) JO GHAR LUTAATA HAI USKO HUSSAIN KEHTE HAI. Jo din bachaata hai usko hussain kehte hai. Jo hur banaata hai usko hussain kehte hai. Jo jeet jaata hai (usko hussain kehte hai-2) Shuja-atoonay tone pukaraa (hussain zin.. 2)BARAAYE JUNG YE LAYKAR JO ZULFIKAAR GAYA. Amir-e-shaam ko beta ali ka haar gaya. Kiya ye wakt ne aylaan ikhtidaar gaya. Hussain jit gaye or (yazid hargaya-2) Khuda ka din pukaraa (hussain zindabad-2) ALI KA LAAL SHAHE MASHRAKAYN ZINDAA HAY. Wo khalb-e-fatema zehra ka cheyn zinda hai. Shabaab fata-e-kadro hunain zindaa hai. Yazid margayaa mera (hussain zinda hai-2) Ye zindagi ka hai naraa (hussain zin.. 2) YE TERA DOST BHI TERA ADOO BHI KEHTA HAI. Chiraag andhiyo ke ru-baru bi kehta hai. Alam bi tegh bi chah dil gulu bi kehta hai. Nazar bi fikr bi dil bhi (lahu bhi kehta hai-2) Jo katl hoke na haraa (hussain zin.. 2) WAFA KA SAMT-TERA GOHAR SADA PASAND RAHE. Nishan-e-matame shabbir al jo band rahe. Alam hussain ke lashkar ka sar buland rahe. Yazid kabr ki gayrayiyo (me band rahe-2) Dil-e-hussain hamara (hussain zin.. 2) Lagaye jao ye nara (hussain zindabad-2) Kaho ye milke dobara (hussain zindabad-2) Laghawo joom ke nara (hussain zindabad-2) Lagaye jaan ye nara (hussain zindabad-2)Kaho ye milke dobara (hussain zindabad-5) ***********************
ALAMDAR HAI ALAMDAR (3) Roti hai Zainab (Hai Alamdar), Pyasi hai Zainab (Hai Alamdar) Qaidi Hai Zainab (Hai Alamdar), Jati Hai Zainab (Hai Alamdar) Alamdar Hai Alamdar x3 Shaam chali teri behan be rida, Khafela salar hai Zainul Eba Choud ke maqtal me tujhe be kafan. J ati hu bazar mere ba wafa Khaid huwi dekh nabi zadiyan, Bazu-O-mai bandhi gayi reesma Dekh le Zainab ki zara bekasi, Koi nahi koi nahi paas baa Dard hai tanhaiyi hai faryaad bi, Hashre bapa hai dile nashad bi Lekay chale hai ye sitam-gar mujhe, Alvida ay bhayi teri yaad mai.Yaad teri ayengi har gaam par, Kalb ko tadpayengi har gaam par Tujse juda hoke-ye teri behan, Kehte huwe jayengi har gaam par Dard se lachar behan kya kare, Mere Alamdar Behan kya kare Koi Nahi aaj mera dasht mai, Gham me giraftar behan kya kare Dilpe har-ek zakhmo ko sehte huwe , Sham talak jayengi rote huwe Teri judaai me mere ba wafa, Aaj sare dasht ye kehte huwe Baad tere dasht mai chadar chini, Nawha khuna mujpe huwi bekasi Tere bina kaise bhala jayengi, Shaam ke darbar mai binte Ali Loot padi aisi ke sab lut gaya, Ghar tere jane ke sabab lut gaya Wo jo bhara ghar tha tere samne, Aake zara dekh wo ab lut gaya ***********************
Jibreel nawha padte hai (Maray gaye Ali x2) Maula-e-kayinat pe talwaar chalgayi, maray gaye Ali Masjid udaas mimbare (kufa udaas hai x 2) Tar khoon me khuda ke (wali ka libaas hai x 2) Rota hai asmaan zamin ghamse phat gayi,mare gaye AliMasjid me rozadar pay (kaysa sitham huwa x2) Kaabe se aa rahi hai sadaa (wa musibatha x2) Ghamse nabi ki kabr bhi ab kaampne lagi,mare gaye Ali Haay haay yateem Shabbar-O-(Shabbir hogaye x2) Abbas dilko thaamke (rote huwe chale x2) Sarse ridaaye Zainab-o-Kulsum girgayi, mare gaye Ali Duniya mei bekasoon ka (sahara nahin raha x2) Uthra tha jo falak se (sithara nahin raha x2) Arshe bareen pe farshe azaa aaj bichgayi, mare gaye Ali Maula mera jo khoon me (apne naha gaya x2) Bole farishte haye ye (kaisa sitham huwa x2) Uriyain ye roke kehti thi duniya ujadgayi,mare gaye Ali Zahra lahad me rothi hai (Haider ke waste x2) Kehti hai cheyn kabr ke (andhar nahin mujhe x2) Bacho pe mere ghamki ghata aajc hhagayi, mare gaye Ali REHAN mere saath me (rone lagaa kalam x2) Aankho se mere jaari (huwe ayse ashke gham x2) Chalte huwe kalam ke mere saas rukh gayi, mare gaye Ali ***********************
YA ALI ADRIKNI, YA ALI ADRIKNI Dasht may luti gayi aale Rasoole madani Ya Ali adrikni (2) Haaye be aab huwe qatl Hussaini Hassani Ya Ali adrikni, Ya Ali adrikni Dasht wo tapta huwa, dhup may aal-e-abaa Khaak pe baita huwa, kartha hai ro kar buka (2) Kaisi taqdeer may likhi thi gharibul wathani Shaah ka wo nusrathi, kaisa huwa jannati Zaanu-e-sibte Nabi, aur sar-e-Hurr-e-jari (2) Koi Hur jaisa nahi duniya may qismath ka dhani Fathima Zehra ka laal, pyaas se ran may nid-haal Aata hai aksar khayaal, kissay karoo ye sawaal (2) Maalik-e-kausar-o-tasnim ye tishna dahaniBacha bhi che-maah ka, pyaas say tadpa kiya Teer-e-sitham kya chali, chid gaya nanha gala (2) Teer-se pehlu aur Asghar ki ye ghuncha dahani Kehti thi rokar ye maa, haaye mera be-zubaan Haaye ye nanhi si jaan, toota na kyun aasman (2) Ye sitham aur mere asghar ki ye naazuk badani Haaye wo kadiyal jawan, gir pada khaakar sina Ro diya ye aasman, baap ka azm-e-jawan (2) Shah-e-deen khaynchte hai sinay say barchi ki ani Laash pe kehti hai maa, ay mere kadiyal jawan Saal tha attharawan, haaye ye zakhm-e-sina (2) Dekhiye aake jawan laal ki gul pai-rahani Sayyad-e-abraar hai, nargha-e-kuffaar hai Dar pay ye aazaar hai, teeron ki bouchaar hai (2) Jism Shabbir ka teeron se hai chalni chalni Zainab-e-aali muqaam, tumpe hai laakhon salaam Ummath-e-khairul anaam, khoob kiya ehteraam (2) Be-rida saani-e-Zehra huwi baazu rasani Ya mere mushkil kusha, khalq ke haajath rawa Aap pe mehshar fida, kardo ishaara zara (2) Sang reze abhi hojayenge laal-e-yamani ***********************
2ff7e9595c
Comments